Olive and Almond Oil Benefits in Urdu








Olive and Almond Oil Benefits in Urdu

Qudrat kamlah ne roghan badam ko be shumar jamalyati fawaid khawas ata kiye hain afzaish husn ke liye qudrat ka ata kardah yeh besh baha tuhfah hai jahan tak afzaish husn ka talluq hai badam roghan aur zaitoon
Olive Oil
ke roghan ko bari ahmiyat hasil rahi hai. chehre aur badan par is ki malish taqat-o-tawanayi ki hamil hai. jild mein chamak aur nikhar paida karti hai. dunya ki namwar haseen-o-jameel auraton ne roghan badam ko afzaish jamal ke liye istemaal kia hai yahi wajah hai keh beauty clinics mein mikhtalif roghanyat ke sath roghan badam bhi kasrat se istemaal kia jata hai. roghan badam ke qadeem-o-jadeed formula mustamil hain is ke zareeye buhat se pechidah jamalyati masail hal kiye jate hain. Beautician chehre aur is ki jild ki jumlah jamalyati shikaiton ko dur karne ke liye darja zel formule pesh karte hain.
1-Chehre par acne nikalne hon, jild daghdar ho, jhaiyan pari hon, jild khurduri ya hassas ho to is surat mein cosmetic ke istemaal se khatir khua nataij hasil karne mumkin nahi. Beautician aur physiotherapist yeh kehte hain keh jild ki satah ka kheyal rakhna ya ise banana sanwarna hi kafi nahi balkeh jild ki gehrayion tak puhanchna bara zaruri hai.

2-Agar chehre ki jild buhat khushk ho aur is masamat khule hon to rozanah sone se pehle chehre ko roghan badam se masaj kia karein.

3-Make up ko tar-o-taza aur chamak dar rakhne ke liye face gamer istemaal karein jab keh roghan badam oil se behtar koi qudarti glamour nahi hai.

4-Chehre par chaiyon ka paida hona aik aam shikayat hai. chaiyan jild ki dekh bhal hi se dur ho sakti hain agar chehre par roghan badam ki aksar malish ki jaye to yeh shikayat dur ho jaye gi. 

4-Honton ki siyah rungut aur aankhon ke gird siyah halqe jism mein iron aur vitamin B ki kami ki alamaat mein desi vegetable aur fruits khayain jin mein vitamin aur iron ho. Badam roghan aankhon ke gird siyah halqon par laga kar fingers se masaj karein.


5-Garmi aur khushki ki wajah se agar chehre ki rungut mutasir hui ho to aap apni jild ki cleasing badam ki milish karein. 

6-Chehre par barfile pani ke chinte marein towel se chehre khushk kar lein chehre par badam roghan ka masaj karein is ke baad koi stringent lagayain is se jild ki tonic ho jati hai. 

7-Milk, eggs aur badam roghan baalon ki taqat dene ke liye behtareen cheez hai hafte mein do martabah eggs aur milk se baalon ko dhoyain aur rozanah raat ko badam roghan sar ko malein to baal girne band ho jate hain.

0 $type={blogger}:

Post a Comment

Copyright © 2014 Ahmed Razzaq Gamerz | Designed With By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates
Scroll To Top