Aulaad Ke Parwarish





Aulaad Ke Parwarish



Aam tor par parents yeh kheyal karte hain keh agar bache ki baat na mani jaye to who ziddi ho jata hai, jab keh muamlah is ke bar aks hai. Jab parents bachon ki muhabbat mein in ki har khuahish ke aage hathyar daal dete hain to bache ki zid barhne lagti hai. Jab bacha apne parents ke dil mein apni har khuahish ka ahtaram pata hai to phir nobat anokhe ladle ke chand mangne tak aati hai. Parents har khuahish puri kar dete hain to bacha bhi har roz nayi khuahish karna apni rawish bana leta hai. Is waqt parents ko sakhti ka kheyal aata hai, kiun keh pocket ijazat nahi deti keh mazeed khuahishat ko pura kia jaye . nateejatan bache ko sakhti se sudharne ki koshish ki jati hai, kiun keh bacha ab itna ziddi ho chukka hota hai keh milne julne walon ke samne bhi apni kisi khuahish ke pura na hone par rone dhone se baaz nahi aata. Aakhir kar daant dapat ka silsilah ghar mein aane wale mehmanon ke samne bhi jari rehta hai. yani zara ghor kijye keh aik ghalat rawaiyah kitne masail janam deta hai. Had se ziadah lad pyar aur had se ziadah muashrati masail ka shikar hojata hai, jo 18, 20 saal ki umer mein shiddat ke sath samne aate hain. Baaz awqaat to yeh masail itne sangeen ho jate hain keh bache ki puri shakhsiat hi bigar ka shikar ho jati hai aur yeh bigar ta umer is ki zaat ka hissah ban jata hai. yani shakhsiyat mein aitdaal nahi rehta hai. khuahishon aur zaruraton ke darmian farq bhula dene wala insane jab apni har baat manwane ke darpe ho jata hai to is se na sirf in ka khanadan mutasir hota hai. Bal keh is ke mizaj mein paida hone wala khud pasandi ka ansar in ke liye amli zindagi mein bhi kayi masail paida kar deta hai. baat rawaiye mein aitadal ki hai. Munasib tarz-e-amal ikhtiyar kijye.

1-bachon ki har baat manne ki surat mein in mein zid aur phir baghawat janam leti hai. Agar shakhsiyat matwazan aur mazboot na ho to nojawan amli zindagi mein qadam rakhne ke baad mukhtalif infaradi aur muashrati masail ka samna karte hain. Baaz awqat yeh aarze ki surat mein umer bhar in ki zaat ke sath chimte rehte hain aur baqaidah nafsiati ilaaj ke beghair aur koi charah nahi rehta. Parents ko yeh baat samajhni chahiye keh apne bache ke liye inhain apna kiradar ada karna hai. hamein koshish karna hai keh apne bachon ko meiyari waqt dein in ki baat samjhain. In ki kisi be wajah khuahish ke jawab mein inhain samjha kar qail karne ki koshish karein. Lad pyar apni jagah lekin ghalti aur ghalat baat ki surat mein bache ko zarur samjhayain.

2- bache ke mizaj ki na hum wari dur kane ke liye tashaddud ka rastah ikhtiyar karna tabah kun sabit hota hai. Is ke bajaye agar ise kisi ghalti ka ahsas dilana maqsud ho to kuch mukhtalif andaz se is tak yeh baat punchayain. Misal ke tor par kuch der ke liye aik jagah baitha dain aur is se baat na karein. Amuman bache is gharilu social baikaat ka gehra asar lete hain aur apne parents ki narazi bardasht nahi karte isi narazi ke khof se dusre bara ghalti se ijtenaab karte hain.

3-Parents ko apne bache ki har shararat ko bad tamizi ya apne liye pareshani tasawwar nahi karna chahiye. Bacho ki maasum shararton kotahiyan nazar andaz karna sikhain. Mumkin hoto apne andar itni bardasht paida kijye keh ghusse mien aane ke ba jaye aap in ki maasum shararton se lutf andoz hone lagain. Lekin is ka matlab yah har giz nahi keh zid, jhut aur hat dharma ki hoslah shikni na ki jaye. Is baat ka bhi kheyal rakhain keh doosron ke samne yani bahir ke kisi fard ya aziz-o-aqarib ke samne bache ko bura bhala na kahein balkeh tanhayi mein zara narmi ya sakhti se samjha dia jaye. Yah rawaiyah raftah raftah bache mein masbat tabdili laye ga aur is ki ana bhi majroh nahi hogi, balkeh who aap ka ahtaram kare ga keh mere parent mere liye acha hi sonchte hain.

4-Parents apne bachon ke sath dostana bartao karein. Bache ke question ko sirf yeh sonch ke nazar andaz kardena durust nahi keh who aap ki baat kia samjhe ga. Bachon ke muamlat se la taluqi, jhunjhlahat ya dusron ke ghalat rawaiye ki wajah se paida hone wala ghussah apni bachon par utarna yeh sab batain bache ko aap se dur kar deti hain yah tarz-e-amal intahayi khatarnak aur ghair mustahkam shakhsiyat ko janam deta hai.

5-Har waqt ki rok tok bachpan ki rangini ko cheen leti hai, is se guraiz kijye. Ache bure ka farq bache ko samjha dejye, waqt buhat bara teacher hai. koi bhi insane ibtadayi umer mein apne sath rakhe jane wale rawaiyon aur muashra ke bartao se apni shakshiyat tamer karta hai. Is liye parents ko bacho ke sath apne rawaiye ki ahmiyat ko samajhna chahiye. Apni zumme dariyon ko samajhte huye sahi simt ka taiyon kijye aur is se bachon ki tarbiyat ka amal aage barhaiye, kiun keh hamare bache hi hamara asal sarmayah hai.


0 $type={blogger}:

Post a Comment

Copyright © 2014 Ahmed Razzaq Gamerz | Designed With By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates
Scroll To Top